Ladki & Bill..

Ladki Sath Ho To Restaurant Ka Bill
Ladki Door Ho To Mobile Ka Bill

Aur

Ladki Hamesha Ke Liye Hi Door Ho Jaye To
Daru Ka Bill

Isliye Na Lagao Dil, Na Aayega Bill…

Funny Devdas...

Devdas Ne Paaro Ke Ghar Ke Saamne
Susu Kar Diya,
Paro Ne Pucha, “Dev Ye Tune Kya Kar Diya?”
Devdas Bola, “Teri Bewafai Ne Itna Dard Diya Ki Aansuon Ne Apna Rasta Badal Diya.”

Na Chandramukhi Na Paro..

Devdas Ki Tarah Jaan Mat Do Yaaro
Pyar Ko Laat Maro
Meri Baat Mano
Na Chandramukhi Na Paro
Roz Raat Ek Strong Beer Maaro Aur
Chain Se Zindagi Gujaro…

O God तू अपरम्पारा

O God तू अपरम्पारा
करो बेडा पार हमारा
My Boat फंसी मझधारा
please give me some सहारा

I don’t have any किनारा
नहीं दिखता कोई नजारा
Please take Fastly ANy action
मैं बिकता खड़े बजारा

O God तू अपरम्पारा
करो बेडा पार हमारा
please give me some power
मैं बन जाऊं चाँद सितारा

मेरी विनती सुन लो GOD
मैं लेता नाम तुम्हारा….

Saath Na Chhodenge..

Muskilon Se Ghirkar Bhi Kabhi Aapka Saath Na Chhodenge,
Agar Qayamat Bhi Aayegi Kisi Mod Pe To Uska Rukh Modenge,
Yun To Hum Kisi Se Kabhi Wada Nahin Kiya Karte,
Par Aapse Kiye Hue Har Ek Waade Ko Kabhi Na Todenge…

Dil Ki Awaz Likhta Hoon...

Kalam Chalti Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hoon,
Gham Aur Judai Ke Andaz-E-Bayaan Likhta Hoon,
Rukte Nahi Hain Meri Aankhon Se Aansu,
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaz Likhta Hoon…

Mujhe Maaf Kr Dena...

Agar Main Had Se Gujar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena,
Tere Dil Me Utar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena,
Yuhi Gusse Me Aksar Daat Dena To Aadat Hai Hamari,
Daat Ke Tumhe Main Apni Baahon Me Bhar Lu To Mujhe Maaf Kr Dena,
Raste Me Tujhe Dekh Tere Deedar Khatir Pal Bhar Jo Thehar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena,
Apne Jazbaat Se Likha Ye Shokh Tehreeb Tere Naam Kr Jau To Mujhe Maaf Kr Dena,
Teri Pal Bhar Ki Judai Mujhe Jeene Nhi Deti Tere Bin Mar Jau To Mujhe Maaf Kr Dena…

Judai..

Kisi Sham Mujhe Toot Kar Bikharta Dekho
Meri Ragon Mein Zeher Judai Ka Utarta Dekho
Kis-Kis Ada Se Unhe Maanga Tha Rab Se
Aao Kabhi Mujhe Duaon Mein Siskta Dekho…

Tune Hi Sanam

Barbaad Ho Gaye The Hum Duniya Ne Yun Humko Sataya Tha
Har Ek Mod Pe Hum Girte The Kisi Ne Bhi Na Humko Uthaya Tha
Tab Tune Hi Sanam Ek Umeed Ka Diya Jalaya Tha
Apne Har Ek Gam Ko Chupakar Mujhe Jeena Sikhaya Tha…

Agar Boltaa Hota...

Yeh Bhi Acha Hai Sirf Sunta Hai Dil
Agar Boltaa Hota To Qayamat Hoti ….

Chupaye Dil Me Baitha Hun….

Na Koi Dekh Le Tuj Ko Meri Aankhon K Raste Se,
Teri Masoom Si Surat Chupaye Dil Me Baitha Hun…..

Us Ki Aankhoon Me..

Us Ki Aankhoon Me Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko
Afsoos Ke Un Aankhoon Me Kabhi Khud Ko Nahi Dekha…!!!

Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi…

Shayad Woh Apna Wajood Chod Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi…

Kaisa Sitam Hai Apka..

Kaisa Sitam Hai Apka Ye, Ke Rone Bhi Nahi Dete,
Kareeb Aate Nahi Aur Khud Se Juda Hone Bhi Nahi Dete...

Kadam Ruk Se Gaye

Kadam Ruk Se Gaye Hain Phool Bikte Dekh Kar,
Woh Aksar Kaha Krti Thi Muhabbat Phool Jaisi Hoti Hai..

Dil Ki Zid Thi..

Hazaar Chehron Me Uski Mushahbatain Milien Mujhko,
Par Dil Ki Zid Thi Agar Wo Nahi To Us Jaisa Bhi Nahi...

WAYS 2 IMPRESS A GIRL

WAYS 2 IMPRESS A GIRL
.
Respect her
Protect her
Care her
Obey her
Sacrifice 4 her
.
HOW 2 IMPRESS A BOY?
.
Just Smile,
Game over
.
Koi standard e nai chawlan da:-)

Very Funny

Mountain dew peene se udjata hai fear,

Basically ur concepts r not clear.

wah.. wah..

.

.

Dost ne pucha exam me”5th ans batao”,

Maine kaha “melody khao khud jaan jao”

.

.


Pam ke pyar me pagal ho gaya Peter,

Ab Hero Honda Splendor 80km per litre.

.

.

Atma chod gayi jism purana.

Didi tera devar diwana.

.

.


Blood donate karne k pehle hamesha group janchna.

Basanti in kutto ke samne mat nachna.

.

.

Yashomati maiya se bole nandlala,

Tata sky lagadala to life jhinglala..!!!! !…….

.

.

Mehhagi ke zamane mein karna padta hai karcho pe kabu,

Ek chutki sindur ki kimat tum kya jano Ramesh Babu!!!!!