Mujhe itna pyar na do jaana, Kal jitna mujhe naseeb na ho, Ye jo maatha chuma karti ho, Kal is par shikan ajeeb na ho, Main jab bhi rota hun jaana, Tum aansu poncha karti ho, Mujhe itni door na chor aana, Main roun aur tum kareeb na ho, Mere naz uthati ho jaana, Mere laad uthati ho jaana, Meri choti choti khwahish par, Tum jaan lutati ho jaana, Kal aisa na ho ik nagri mein, Mein tanha tum ko yaad karun, Aur ro ro kar faryad karun, Aye Allah meri jaana sa, Koi pyar jatane wala ho koi pyar jatane wala ho...

